qatra qatra tapak raha hai lahu lamha lamha pighal rahi hai hayat mere zanu pe rakh ke sar apna ro rahi hai udas tanhai kitna gahra hai dard ka rishta kitna taza hai zakhm-e-ruswai hasraton ke darida daman mein jaane kab se chhupae baitha hun dil ki mahrumiyon ka sarmaya tute-phute sharab ke saghar mom-batti ke adh-jale tukde kuchh tarashe shikasta nazmon ke uljhi uljhi udas tahriren gard-alud chand taswiren mere kamre mein aur kuchh bhi nahin mere kamre mein aur kuchh bhi nahin waqt ka jhurriyon bhara chehra kanpta hai meri nigahon mein kho gai hai murad ki manzil gham ki zulmat-farosh rahon mein mere ghar ki purani diwaren har ghadi dekhti hain khwab nae par meri ruh ke kharabe mein kaun aaega itni raat gae zindagi mehrban nahin to phir maut kyun dard-ashna hogi khatkhataya hai kis ne darwaza dekhna sar-phiri hawa hogi