dekho main kis shan se aai

suraj ne jab sath nibhaya
sardi ko phir main ne bhagaya

garm hawaon ka hai mahina
har mathe par aae pasina

aamon ke main tohfe lai
dekho main kis shan se aai

koi piye tarbuz ka sharbat
kisi ko kharbuze se raghbat

aadu dekh ke ji lalchae
sab ne mil kar maze udae

jamun aur khubani khai
dekho main kis shan se aai

mehnat-kash mazdur bichaare
sab hi mere war se haare

lekin mera ye kahna hai
har mausam ka ek maza hai

main bhi to hun ek sachchai
dekho main kis shan se aai

bijli bhi meri ham-joli
khel rahi hai aankh-micholi

main ne aise tir chalae
bachche budhe sab ghabrae

sab ne di hai meri duhai
dekho main kis shan se aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close