mera nam paDa barsat

main ne aisi jhadi lagai
garmi chikhi aur chillai

lekin main ne zor dikhaya
garmi ko phir mar bhagaya

jaan mein logon ki jaan aai
mausam ne li phir angdai

banti khushiyon ki saughat
mera nam pada barsat

bijli kadki dil tharraya
baadal ne tukda hai giraya

barse jhum ke kale baadal
dhup ke ghar mein pad gai halchal

sakhiyon ne phir jhule dale
ghar se nikle bachche baale

hathon mein phir le kar hat
mera nam pada barsat

jaise hi koi ghar se nikla
panw wahin kichad mein phisla

git koi sawan ke gae
kisi ne khub pakaude khae

tap tap tapke chhat jo purani
har shai ho gai pani pani

utri jab rim-jhim ki baraat
mera nam pada barsat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close