safar qalam ka

tere safar ka ant nahin hai
tujh ko chalte jaana hai

qalam ki dhaara tujh ko to
ab sada hi bahte jaana hai

mana safar bahut lamba hai
jaana tujh ko dur hai

koi nahin hai sath mein tere
phir bhi qadam badhana hai

is dharti ka zarra zarra
daman mein bhar lena hai

pal pal har manzar ka tujh ko
ek ek har manzar ka tujh ko

ek ek naqsh samona hai
tere safar ka ant nahin hai

tujh ko chalte jaana hai
dekh kabhi to mausam-e-gul ko

patjhad ki aawazon mein
aur kabhi tu parbat ban ja

aur kabhi bah sagar mein
sahraon mein tanha chal

aur hansta ja gulzaron mein
patthar se uga le phulon ko

kharon mein shirini bhar de
roti shabnam dhalta suraj

sanjh ki sundar bela bhi
subh ka tara chand ka haala

har mausam albela bhi
bahuton se milna hai baqi

kho gae hain sab tere sathi
thak kar ho na chur abhi

baith gaya gar wahin andhera
mil jaega munh bhad se

tu to qalam likhne ki khatir
har dam mange ujyara

chun chun kar ujla ujla-pan
tujh ko likhte jaana hai

isi ujale ki khatir hi
tujh ko chalte jaana hai

tere safar ka ant nahin hai
tujh ko chalte jaana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close