kisi ki dhal gai kaisi jawani dekhte jao jo thin begam wo hain bachchon ki nani dekhte jao tangi hai jo mere hanger-numa kandhon pe maili si meri shadi ki hai ye sherwani dekhte jao dikha ke daswen nau-maulud ko mujh se wo ye bolin mohabbat ki hai ye taza nishani dekhte jao kiya begam ne nafiz ghar mein dastur-e-zaban-bandi mere ghar aao meri be-zabani dekhte jao main pachpan ka hun wo pandrah baras se tis ke hi hain jawani un ki meri na-tawani dekhte jao khade hain samne aaine ke aur muskuraate hain jawani ho gai kaisi diwani dekhte jao bujha sakta na tha jo tishnagi sahra ki wo baadal haya se ho gaya hai pani pani dekhte jao bahut majbur hota hai to insan khun pita hai garan hai kis qadar pine ka pani dekhte jao hamara khun ik-na-ik din la kar rahega rang tumhein mahngi padegi zindagani dekhte jao lahu par be-gunahon ke rakhi hon jis ki buniyaaden nahin chalne ki aisi hukmarani dekhte jao haya aur sharm uthti ja rahi hai is zamane se na jaane kab mere aankhon ka pani dekhte jao jawani 'khwah-makhwah' ke dil ki kuchh to gul khilaegi hasinon se chali hai chhed-khani dekhte jao