khauf ke jazire mein qaid hun main barson se dur tak fasilen hain aur un pe lohe ki unchi unchi baden hain, nok-dar kilen hain dalta kamanden hun jail ke kinaron par khar-dar taron par sitiyan si bajti hain der tak samaat mein pahre-dar aate hain bediyan si sajti hain panw ko uthana, bhi hath ko hilana bhi jism bhul jata hai jurm bhi nahin malum, umr bhi nahin malum kuchh pata nahin mujh ko us taraf fasilon ke kis qadar samundar hai kashtiyan bhi chalti hain, baadban bhi khulte hain nur ke jahan bhi hain, jism ke makan bhi hain, aadmi wahan bhi hain chhodiye, nahin jate kya karenge bahar bhi thik hai fasilon mein aansuon ki jhilon mein chand ko utarenge be-hisi ke tilon par naqsh-e-pa ubhaarenge maut ke glamour mein dub dub jaenge qabr ke andhere se raat ko sajaenge maut ka fasurda-pan kitna khubsurat hai ek jahan udasi ka bas meri zarurat hai!