khat badhai ki dastak par tanawar shajar ne kandhe jhatak kar apni be-niyazi ka izhaar kiya hawa ka tez jhonka ghadi-bhar ke liye patton se uljha phuli hui sans se kuchh kahna chaha magar alfaz ne sath na diya shajar ne badi be-e'tinai se us ki taraf ek nazar dekha magar jhonka itni der mein dur ja chuka tha abhi use aur bhi to paigham pahunchane the yak-bargi shajar khade qad se dagmagaya haalanki faza bilkul sakit thi patte anjaane khauf se haule haule kanp rahe the khat badhai ki dastak tez se tez-tar hoti ja rahi thi hawa ka jhonka wapsi mein pal ke pal thahra magar bahut der ho chuki thi tanawar darakht ek bar badi zor se kanpa aur ek taraf jhukta chala gaya us ki apni ghaflat ne dimak ki tarah us ke wajud ko khokhla kar diya tha khat badhai ki dastak bhi dam tod chuki thi aur fakhta gire hue shajar ke upar musalsal chakkar kat rahi thi