tere dar se guzra tha barha wo khula nahin wahan dar pe pahra laga tha gardish-e-haal ka main tere tilism mein band tha mujhe tha kisi se na apne aap se wasta faqat ek nauha be-aman tha sukut mein wo sukut jis mein bhanwar sadaon ke be-shumar wahi gunjte the wajud mein koi chashm-e-shauq ko waqiye sar-e-rah ab bhi mila nahin to gila nahin ki main apni zat ki anjuman mein har ek se mahw-e-kalam hun mere haal ki na use khabar na use khabar ki ye log sada gharib mukhlis-o-chaara-saz yahi log hirs mein mubtala jo nikalen kaam fareb se na ho un sa koi zamana-saz kabhi un mein zahr ana ka hai kabhi wahm ka kabhi jahl ka kabhi sanp andhi aqidaton ke lipat gae hama-waqt rahti hai sim-o-zar ki talab unhen ki ye khwajgan-e-waram se rakhte hain saz-baz jinhen bandagan-e-waram kahen to baja kahen ki wo khwaja kya hain waram ki karte hain bandagi unhen mujh se milne ka shauq kya ye wo log hain jo na apne-ap se mil sake ye unhin ke bare mein tha jo khula sahifa-e-hast-o-bud ye badalte chehron ke log jin ka na apna chehra na khal-o-khat usi karwan mein sharik hain jo ummid-e-wahm ki rah mein kai sad-hazar baras se hai kai bar ubhre hain gard se kai bar dhuan mein at gae wo jo khwab the kai sad-hazar baras ke khwab jo yaqin na the jo guman na the wo jo un ke apne nigah-o-dil pe ayan na the ki ayan hue to bikhar gae magar un ka apna wajud the lahu ban ke un ki ragon mein paiham rawan bhi the tera dar to ab bhi khula nahin magar ek ummid ka dar khula kai sad-hazar baras ka arsa-e-intizar guzar gaya wo jo khwab the wo jo khwab hain wahi khwab dil mein utar pade naya rang hai shab-o-roz ka nai tabish-e-mah-o-sal hai hote sab ke khwab jo mere khwab ajab us mein lutf-e-visal hai