jis shakhs ke malbus ki qismat mein likhi hai kirnon ki tamazat rashk aata hai mujh ko us par kyun sirf achhuta anjaan anokha ek khwab hai khalwat kyun sirf tasawwur bahlata hai mujh ko kyun subh-e-shab-e-aish ka jhonka ban kar rukhsar ke be-nam aziyyat sahlata hai mujh ko? kyun khwab-e-fusun-gar ki quba chaak nahin hai kyun gesu-e-pechida-o-raqsan namnak nahin hai ashk-e-dil-e-khun se kyun lams ki hasrat ke junun se milti nahin mujh ko be-qaid rihai malbus pe kirnon ki tamazat hai dam nazar ka aur subh-e-shab-e-aish ko gesu ka mahakta hua jhonka marhun sahar ka hota hi nahin hai kyun dhoe na pairahan-e-aluda ke dhabbe makhmur-e-masarrat kirnon ki tamazat ban jae na kyun rang-e-shab-e-aish ka ek aks-e-musalsal majbur-e-aziyyat to man le is aks ka manzar deta hai tujhe jam-e-chashida ki si lazzat kyun soch raha hai jhuta hai ye pyala kya aaj zamane mein kahin dekhi hai tu ne doshiza masarrat? phaile hue malbus pe kirnon ki tamazat hai zist ke gesu ki hararat is shakhs ko pairahan-e-aluda ke dhone hi se rozi milti hai jahan mein to us pe nazar kar