wo qahwa-khane mein aaya aur hamari mez ke kinare bin puchhe hi baith gaya hum baaton mein khoe hue the soch rahe the duniya kya hai kya ye stage hai jis par jiwan ka natak hota hai kya hum is be-nam darame ke hain bas farzi kirdar? uljhi thi apni guftar aur achanak wo nau-warid cigarette ka ek gahra sa kash le kar uttha hum logon ko ghaur se dekha aur ye kah kar jaane laga tum sab itna soch rahe ho mujh se puchho duniya kya hai hum ne socha baat karega lekin ek barqi surat se wo nau-warid ja bhi chuka tha (baire ne batlaya sahib! aane wala diwana tha) ab hum log ye soch rahe the wo to khair ek farzana tha lekin hum is fikr ke hathon ek din pagal ho jaenge cigarette aur kafi dhuen mein ud kar baadal ho jaenge!!