mujh ko bhi tarkib sikha koi yar julahe aksar tujh ko dekha hai ki tana bunte jab koi taga tut gaya ya khatm hua phir se bandh ke aur sira koi jod ke us mein aage bunne lagte ho tere is tane mein lekin ek bhi ganth girah buntar ki dekh nahin sakta hai koi main ne to ek bar buna tha ek hi rishta lekin us ki sari girhen saf nazar aati hain mere yar julahe!