badi muddaton mein mere sahn ki mithi nim ek dam gunj utthi hari pattiyon mein kahin koi baja baja koi sur pighal kar hawaon mein bahne laga badi muddaton mein darakht aaj phir mujh se kuchh kahne sunne laga koi sur pighal kar hawaon mein bahne laga main tabdil hone laga laga rail ki siti sun kar koi lomdi chikhti ho laga horn sun kar ki kutton ka dil bhunkta ho laga kar-khanon ke bhonpu gadhon ki tarah rengte hon laga jaise pressure-cooker mein ghizaon ka dam ghut raha ho laga jaise chhat par chadha tez pankha bahut der se badbadata chala ja raha ho agar koi sur mein hai to bas wahi ajnabi tanha bulbul ki jis ne zara der ko nim ki daliyon ko chaman-zar 'khayyam-nesha-puri' ka bana kar mujhe apni patthar jagi aatma se mulaqat ka phir se mauqa diya hai!