dur tak dhundlake se pur hai faza wadi ki shai har ek dud ne aaghosh mein le rakkhi hai rahguzar golf ka maidan sabza-zar-o-darakht sabt taswir ki manind hue hain sare shahr ki koi imarat nazar nahin aati koi gul koi hararat nazar nahin aati khamushi sabt hai behosh si be-hoshi hai khwab khwabida hai madhosh si madhoshi hai koi haijaan nahin dukh nahin rahat bhi nahin dur tak koi nahin kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin ek jaanib ki jidhar dhund aur ziyaada hai wo kisi sae ke manind chala jata hai