dhund ke rishte gahre hote jate hain aawaz nahin jo aae aur kanon ki bekar hawas par jalte pani ke chhinte de soch sako to socho aur is dolte pal ki rakh par apne ulte sidhe nam likho shankar durga widdya wijay sumitra jo ab bhi hai wo kabhi na tha jo kabhi na tha wo ab bhi hai wo ab bhi hai aur tum us ko pahchante ho jab dhund ka jhut tumhaare sar par nachega tum rooge kisi ko is ke na hone ka dosh na do wo kaun tha apne barson ke bhule bisre iman ki lajja bhigi mitti mein band kiye is dukhi zamin pe haar gaya pahchante ho shayad shayad to phir jaane do bure bhale to pet ki kali tah mein hote hain aur matyali uljhan aur jism pe kitni sard lakiren khinchi jati hain koi nahin joru ke koi nahin joru ke abhilasha kab paida hoti hai kitni ghadiyan roz badhati hai kitni ghadiyan roz ghatati hai kab jagti hai kab soti hai abhilasha durga hai aur durga diesel pina sikh gai hai us ne dudhiya kapde aur sunahre gahne utar diye hain khilaune ab bhi mil jate hain par dharti anaj se khali hai aur jeb mein khak bhari hai khak chhupa kar chalna mushkil hai jab sadken jati hon jab dhup aur kude ke dhabbe raftar ghulawat chhote bade ajdad samay ke udte zarron ka be-zamir bhi jag uthe to jeb ki tah mein khak chhupa ke chalna mushkil hai shor hi shor aur gunge panw taza akhbar ke tukde duniya darwaze band karo nanhe wijay se kah do wo so jae duri sirf sisakti duri hai wo kabhi nahin bhulaegi darwaza band karo aur chup ho jao dhund ke rishte gahre hote jate hain