itni muddat dil-e-awara kahan tha ki tujhe apne hi ghar ke dar-o-baam bhula baithe hain yaad yaron ne to kab harf-e-mohabbat rakkha ghair bhi tana o dushnam bhula baithe hain to samajhta tha ki ye dar-badari ka aalam dur deson ki inayat tha so ab khatm hua tu ne jaana tha ki aashufta-sari ka mausam dasht-e-ghurbat ki wadiat tha so ab khatm hua ab jo tu shahr-e-nigaran mein qadam rakkhega har taraf khilte chale jaenge chehron ke gulab dost-ahbab tere nam ke takraenge jam ghair-aghyar chukaenge raqabat ke hisab jab bhi gaegi koi ghairat-e-nahid ghazal sab ko aaega nazar shoala-e-awaz mein tu jab bhi saqi ne surahi ko diya izn-e-khiram bazm ki bazm pukaregi ki aaghaz mein tu maen rakkhengi tere nam pe aulad ka nam bap beton ke liye teri bayazen lenge jin pe qadghan hai wo ashaar padhegi khilqat aur tute hue dil tujh ko salami denge log ulfat ke khilaune liye bachchon ki tarah kal ke ruthe hue yaron ko mana laenge lafz ko bechne wale nae bazaron mein ghairat harf ko late hue sharmaenge lekin aisa nahin aisa nahin ai dil ai dil ye tera des ye tere dar-o-diwar nahin itne yusuf to na the misr ke bazar mein bhi jins is darja hai wafir ki kharidar nahin sar kisi ka bhi dikhai nahin deta hai yahan jism hi jism hain dastaren hi dastaren hain tu kisi qarya-e-zindan mein hai shayad ki jahan tauq hi tauq hain diwaren hi diwaren hain ab na tiflan ko khabar hai kisi diwane ki aur na aawaz ki o chaak gareban wale na kisi hath mein patthar na kisi hath mein phul kar gae kuch kahan kucha-e-jaanan wale