wo hasin thi mah-e-jabin thi be-guman thi be-yaqin thi zindagi ki naram naram aahaten be-sabab yunhi muskurahaten ungliyon mein baal ko lapetna daman-e-khayal ko lapetna har ghadi wahi milne waliyan be-khayaliyan khush-khayaliyan narm uljhanen kam-sini ke khwab ang ang mein chheda inqalab munh par odhni ji kabhi nahin main to aap se bolti nahin aur phir haya zindagi ki mar marifat ka bojh jabr-o-ikhtiyar ek jaan aur sainkadon wabaal jism ki dukhan ruh ka khayal zindagi badhi raushni liye raushni badhi tirgi liye inkisar mein ek ghurur sa kuchh khumar sa kuchh surur sa daere yahan daere wahan raqs mein nazar raqs mein jahan guftugu mein bal khamushi mein loch raat karwaten karwaton mein soch dil bujha bujha tishnagi ki aanch ajnabi thakan zindagi ki aanch us ke kaam aaen us ka dukh bataen us ko chhed den aur muskuraen us ki aankh mein kitna dard hai rang zard hai ruh zard hai wo udas hai kyun udas hai us ki zindagi kis ke pas hai ye gunah kyun bhul kyun nahin bagh mein tamam phul kyun nahin