kuchh kiya jae na socha jae mud ke dekhun to na dekha jae meri tanhai ki wahshat se hirasan ho kar mera saya mere qadmon mein simat aaya hai kaun hai phir jo mere sath chala aata hai mera saya to nahin!! kis ki aahat ka guman yun mere panw ki zanjir bana jata hai dur ta-hadd-e-nazar shahr ke aasar nahin aur dushman ki tarah sham talwar liye sar pe chali aati hai bolta hun to aachanak koi meri aawaz mein aawaz mila deta hai mujh ko khud mere hi lafzon se dara deta hai kaun hai jis ne mere qalb ki dhadkan dhadkan apne ehsas ki suli pe chadha rakkhi hai meri raftar ke pur-khauf-o-khatar raste mein kis ne aawaz ki diwar bana rakkhi hai sang-e-awaz ki diwar giraun kaise kuchh kiya jae na socha jae mud ke dekhun to na dekha jae