mere aaba-o-ajdad ne hurmat-e-admi ke liye ta-abad raushni ke liye kalma-e-haq kaha maqtalon qaid-khanon salibon mein bahta lahu un ke hone ka ailan karta raha wo lahu hurmat-e-admi ki zamanat bana ta-abad raushni ki alamat bana aur main pa-barahna sar-e-kucha-e-ehtiyaj rizq ki maslahat ka asir aadmi sochta rah gaya jism mein mere un ka lahu hai to phir ye lahu bolta kyun nahin?