guphaon jangalon se dur hum tahzib ki dhun par tamaddun ki rida odhe safar karte rahe hain ek muddat se magar ye ek haqiqat hai ki is lambe safar ki ek saat bhi hamare haq mein kuchh achchhi nahin nikli darida ho chuki is darmiyan chadar tamaddun ki giran-bar-e-samaat ho gai tahzib ki har dhun ab aise mein zamin ki shakl ko madd-e-nazar rakhiye to ye mahsus hota hai ki yun jari raha apna safar to ek din phir se na ja pahunchen guphaon ke andheron mein