na jaane kis ki ye diary hai na nam hai, na pata hai koi: har ek karwat main yaad karta hun tum ko lekin ye karwaten lete raat din yun masal rahe hain mere badan ko tumhaari yaadon ke jism par nil pad gae hain ek aur safhe pe yun likha hai: kabhi kabhi raat ki siyahi, kuchh aisi chehre pe jam si jati hai lakh ragdun, sahar ke pani se lakh dhoun magar wo kalak nahin utarti milogi jab tum pata chalega main aur bhi kala ho gaya hun ye hashiye mein likha hua hai: main dhup mein jal ke itna kala nahin hua tha ki jitna is raat main sulag ke siyah hua hun mahin lafzon mein ek jagah yun likha hai is ne: tumhen bhi to yaad hogi wo raat sardiyon ki jab aundhi kashti ke niche hum ne badan ke chulhe jala ke tape the, din kiya tha ye pattharon ka bichhauna hargiz na sakht lagta jo tum bhi hotin tumhein bichhata bhi odhta bhi ek aur safhe pe phir usi raat ka bayan hai: tum ek takiye mein gile baalon ki bhar ke khushbu, jo aaj bhejo to nind aa jae, so hi jaun kuchh aisa lagta hai jis ne bhi diary likhi hai wo shahr aaya hai ganw mein chhod kar kisi ko talash mein kaam hi ke shayad: main shahr ki is machine mein fit hun jaise dhibri, zaruri hai ye zara sa purza aham bhi hai kyun ki roz ke roz tel de kar ise zara aur kas ke jata hai chief mera wo roz kasta hai, roz ek pech aur chadhta hai jab nason par, to ji mein aata hai zahr kha lun ya bhag jaun kuchh ukhde ukhde, kate hue se ajib jumle, kahani wo jis mein ek shahzadi chat leti hai apni angushtari ka hira, wo tum ne puri nahin sunai kadon mein sona nahin hai, un par sunahri pani chadha hua hai ek aur zewar ka zikr bhi hai: wo nak ki nath na bechna tum wo jhuta moti hai, tum se sachcha kaha tha main ne, sunar ke pas ja ke sharmindagi si hogi ye waqt ka than khulta rahta hai pal ba pal, aur log poshaken kat kar, apne apne andaz se pahante hain waqt lekin jo main ne kati thi than se ek qamiz wo tang ho rahi hai! kabhi kabhi is pighalte lohe ki garm bhatti mein kaam karte, thithurne lagta hai ye badan jaise sakht sardi mein bhun raha ho, bukhar rahta hai kuchh dinon se magar ye satren badi ajab hain kahin tawazun bigad gaya hai ya koi siwan udhad gai hai: farar hun main kai dinon se jo ghup-andhere ki tir jaisi surang ek kan se shurua ho ke dusre kan tak gai hai, main us nali mein chhupa hua hun, tum aa ke tinke se mujh ko bahar nikal lena koi nahin aaega ye kide nikalne ab ki un ko to shahr mein dhuan de ke mara jata hai naliyon mein