us se milne de nigahen dil-e-betab thahar ishq ki khilne de rahen dil-e-betab thahar koi dam mein nigah-e-yar hai uthne wali ho na jae dil-e-betab teri pamali dekhi jaegi na phir teri pareshan-haali tu ne furqat mein tadapne ki qasam kyon kha li dil-e-betab thahar ai dil-e-betab thahar us se izhaar-e-tamanna to zara karne de wo jafa-ju hai jafa-gar hai jafa karne de us ko karne bhi de majruh-e-ada karne de kyon karun tark-e-wafa mujh ko wafa karne de dil-e-betab thahar ai dil-e-betab thahar masti-e-husn ka ji bhar ke nazara kar lun khugar-e-dard hun jine ka sahaara kar lun gham judai ke ba-sad-shauq gawara kar lun muztar-e-ishq hun kuchh zabt ka yara kar lun dil-e-betab thahar ai dil-e-betab thahar us se milne de nigahen dil-e-betab thahar ishq ki khulne de rahen dil-e-betab thahar