pahle to husn-e-amal husn-e-yaqin paida kar phir isi khak se firdaus-e-barin paida kar yahi duniya ki jo but-khana bani jati hai isi but-khane se kabe ki zamin paida kar ruh-e-adam nigaran kab se hai teri jaanib uth aur ek jannat-e-jawed yahin paida kar khas-o-khashak-e-tawahhum ko jala kar rakh de yani aatish-kada-e-soz-e-yaqin paida kar gham mayassar hai to is ko gham-e-kaunain bana dil hasin hai to mohabbat bhi hasin paida kar aasman markaz-e-takhil-o-tasawwur kab tak aasman jis se khajil ho wo zamin paida kar dil ke har qatre mein tufan-e-tajalli bhar de batn-e-har-zarra se ek mahr-e-mubin paida kar bandagi yun to hai insan ki fitrat lekin naz jis pe karen sajde wo jabin paida kar pasti-e-khak pe kab tak teri be-baal-o-pari phir maqam apna sar-e-arsh-e-barin paida kar ishq hi zinda o painda haqiqat hai 'jigar' ishq ko aam bana zauq-e-yaqin paida kar
This is a great dosti paisa shayari. True lovers of javed akhtar shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this watan shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!