puchho na mujh se ishq mein kya ho gaya hai dil sar-chashma-e-khulus-o-wafa ho gaya hai dil main us ke jazb-e-shauq ki tasir kya kahun tujh sa hi ab to nam-e-khuda ho gaya hai dil kya dhundhti hai sina mein ab o nigah-e-naz muddat hui ki sarf-e-wafa ho gaya hai dil kya lutf hai ki sare zamane ki hai khabar is ki khabar nahin hai ki kya ho gaya hai dil ek iztirab-e-shauq ki ek shauq-e-iztirab mujh ko khabar nahin hai ki kya ho gaya hai dil mana ki barq-e-husn bahut be-qarar hai us se bhi kuchh tadap mein siwa ho gaya hai dil ab be-sabab bhi ashk bhar aate hain aankh mein kuchh is tarah ka dard-bhara ho gaya hai dil tute hue dilon ne rulaya hai is qadar tute hue dilon ki sada ho gaya hai dil ye sach hai dil wo khub hai jo ba-khuda rahe yun bhi magar hua hai khuda ho gaya hai dil phir kyon hai is gharib ke sar tohmat-e-khudi jo teri maslahat ne kaha ho gaya hai dil nairangi-e-jahan ki hai sari khabar ise phir bhi asir-e-hirs-o-hawa ho gaya hai dil baitha hun ro ke dil ko jo main in dinon 'jalil' halka misal-e-mauj-e-saba ho gaya hai dil