dur is duniya se ho koi jahan mere liye is jahan mein to nahin amn-o-aman mere liye ek jahan jis mein na ho fikr-o-taraddud ka hujum ek jahan jis mein na ho shor-e-fughan mere liye ek jahan jis mein mujhe amn-o-faraghat ho nasib zindagi jis mein na ho bar-e-garan mere liye ek jahan jis mein na ho kuchh ma-o-tu ka imtiyaz ek jahan aazad-e-qaid-e-in-o-an mere liye ek jahan jis mein na ho ilm-o-khirad ki dar-o-gir ho na jis mein kawish-e-sud-o-ziyan mere liye ek jahan jis mein na ho bughz-o-adawat ka wajud aur mohabbat hi mohabbat ho jahan mere liye ek jahan jis mein mera qaul-o-amal ho mo'atabar har qadam par hon na jis mein imtihan mere liye ek jahan jis mein na ho ishq-o-mohabbat ko zawal husn ka gulshan ho jis mein be-khizan mere liye be-riyai ho jahan ke basne walon ka shiar aur mohabbat mein sadaqat ho jahan mere liye zahir-o-baatin jahan ke rahne walon ka ho ek hon na khanjar aastinon mein jahan mere liye zindagani ho jahan ek khwab-e-shirin ki misal har-nafas jis ka ho umr-e-jawedan mere liye jis ka har zarra ho ek duniya-e-na-paida-kanar jis ka har qatra ho bahr-e-be-karan mere liye dur is duniya se ho aisa jahan mere liye is jahan mein to nahin amn-o-aman mere liye