dilli nai purani dekhi khair-o-shar hairani dekhi kursi ki sultani dekhi dhoti par sherwani dekhi bin raja ke raj ko dekha bhaarat ke sartaj ko dekha mantari mahraj ko dekha ulte-sidhe kaj ko dekha kursi hai ab takht ke badle narmi hai ab sakht ke badle salim hai ab lakht ke badle bakht nahin kam-bakht ke badle ek se ek nazare dekhe jharne aur fawware dekhe din mein chamke tare dekhe caron mein na-kare dekhe lok-sabha ke andar dekha jock-sabha ka manzar dekha ek se ek machhandar dekha aadmi jaisa bandar dekha khun fasad aur danga dekha billa dekha ranga dekha dhun wala bhik-manga dekha kapde pahne nanga dekha shar-pandit kathmulla dekha ram-bhagat abdullah dekha sukhi ghas ka pulla dekha be-ras ka ras-gulla dekha boot-club par dharna dekha kuchh nahin kar ke karna dekha kahna aur mukarna dekha himmat kar ke darna dekha colony aur basti dekhi unchai aur pasti dekhi daulat ki sarmasti dekhi izzat sab se sasti dekhi kothe dekhe zine dekhe luchche aur kamine dekhe sab ne sab ke sine dekhe dil ke dard kisi ne dekhe? shahnai aur band bhi dekha dandwat aur shake-hand bhi dekha dilli mein england bhi dekha serwant kam husband bhi dekha urdu ka iqbaal bhi dekha aur us ko pamal bhi dekha urdu-ghar ka haal bhi dekha 'ghaalib' ke ghar tal bhi dekha urdu ke aiwan gae hum le kar kuchh arman gae hum dekhte hi qurban gae hum business karna jaan gae hum neta aani-jaani dekhe jahil aur giyani dekhe sindhi aur multani dekhe kya kya hindostani dekhe mp bikne wale dekhe p-m dhile-dhaale dekhe aafat ke parkale dekhe jija bante sale dekhe nar ke sar par nari dekhi be-sar ki sardari dekhi ayyari makkari dekhi kanton ki phulwari dekhi nak ragadne wale dekhe bans pe chadhne wale dekhe gore jaise kale dekhe bhole jaise bhaale dekhe raj ke raj dulare dekhe pet ki mar ke mare dekhe yani kuchh bechaare dekhe donon hath pasare dekhe kucha aur bazar ko dekha nadir-shah nadar ko dekha hanste har makkar ko dekha rote ek fankar ko dekha ghar un ka bazar hai un ka hotel un ka bar hai un ka tw se parchaar hai un ka jo kuchh hai 'asrar' hai un ka