jis ke chaaron-samt ab tak paniyon ka rela hai aisa sard pani ki jis mein koi utre to ruh sard pad jae kanp jae sara tan kaun ye samajhta hai khwab kitne ziddi hain gol gol lahron mein dub kar ubharne ka hausla samete ye aise kud padte hain jaise koi muddat se pyas mein tadapta ho aur samne us ke sirf ek kuza ho jis mein chand qatre hon sun lo aankh ka qissa qarz apne khwabon ka kis tarah chukati hai mauj ke thapedon se reza reza hoti hai lamha lamha jalti hai tut kar barasti hai surkh surkh doron mein sab thakan samete ye khwab kab samajhte hain aankh ki tadap kya hai kitne dard palkon par yun uthae phirti hai gahre is samundar mein kaise kaise tufan hain todte hain kya kya kuchh shor kaise karte hain khwab ek jazira hai wo kahan samajhta hai us ki ek khwahish par aankh kitna roti hai aankh kitna roti hai