haqiqi dushmani ko dosti ke makr par war pairahan par khwah is mein faeda hi kyun na ho tarjih deta hun ki meri tarbiyat mein ya mere mahaul mein ya phir jibillat mein yahi khami wo khami hai jo wajh-e-tishna-kaami hai ki main sar ke ewaz bhi sach se ru-gardan nahin hota kabhi lalach mein aa kar jhut ka mehman nahin hota