kitni bar ujada tujh ko kitni bar basaya hai achchhi aur buri qismat ka dilli tujh par saya hai takht-o-taj ki duniya tujh ko ras hamesha aai hai tere sar par to jhande ki chunari hi lahrai hai 'mir' ka sher-o-naghma tu ne qadam qadam par gaya hai 'ghaalib' ke ehsas ne tera aaina chamkaya hai 'dagh' ki ghazlen sun sun kar jhume hain tere baam-o-dar dad-e-sukhan ke kya kya manzar dekh chuki hai teri nazar urdu jis ka nam hai wo teri hi god ki pali hai bagh-e-sukhan mein tere dam se rawish rawish hariyali hai teri galiyan rashk-e-jannat tere kuche swarg saman dilli tera nam hai lekin tu hai shan-e-hindostan nind ki tu hai ujli chadar khwabon ka gahwara hai teri dharti ka har zarra dil walon ko pyara hai chand ke jaisa tera chehra suraj jaisi teri jabin tere jaisa shahr zamin par dusra koi aur nahin sach puchho to dilli ki qismat ke rang nirale hain hindu muslim sikh isai is ke chahne wale hain dilli kya hai dil walon ki aankhon ka ek sapna hai is basti ka har bashinda jaise koi apna hai hum bhi 'nazir' ab ja kar ek din dilli mein bas jaenge aur kisi din hum bhi dilli wale hi kahlaenge