chehre ruhon ki be-maegi zehn ki tirgi ke siyah aaine sard aaankhon ke tarik rauzan mein dubka hua ek khala ek sannata honton ke basta makan mein hai soya hua ruh ko jehd-e-tahsil-e-zar kha gai zehn ki raushni na-ummidi ki zulmat mein dhundla gai aankhen nakaamiyon ke khandar mein makan ke tasawwur se aari huin hont kashkol daryuza-gar ban ke lafzon ke ismat ki dukan bane aur ab kuchh nahin aur ab kuchh nahin ek diwana gar khwahish-e-zist hai khal-o-khat dast-o-pa sina-o-sar shikam aur zer-e-shikam ek diwana gar khwahish-e-zist aaza mein daudi hui ek be-mani bekar apahij hawas-e-jism ke tane-bane ko thame hue sirf us ek lamhe ki aamad ka hai intizar jab ki zehnon ke ruhon ke aaine aaankhon mein dubka khat aur honton se lipta sukut ek bar khwahish-e-zist se kah saken zist hum par hamesha se ilzam hai hum na zinda rahe hain kabhi aur na zinda hain ab ek diwana-gar khwahish-e-marg hi thi hamare liye zindagi