wahi bahaar o khizan hai mujh mein bhi mujh se bahar bhi (admi se alag nahin hun) shagufe phuten to khun mein git bolte hain kabhi kabhi khar ki khatak tis ban ke honton se jhankti hai na-jaane kitne hi git the jo bahaar se pahle shakh ki rag mein ji rahe the jadon ka bukhl un ko kha gaya hai ye khar, sautele bete shakhon ke in tak aaya nahin hai nam phir bhi ji rahe hain (chamakte suraj ka sara sach un ke batn mein hai) tapish ki shiddat ko pi ke sukhe sade hue hain pa ji rahe hain mujhe khizan aur bahaar ke rabton mein jina hai phul ka iltifat kante ke talkh tane mere hawale hain jad ka nam, aaftab ki tab mere hunar mein hi bolti hai main kitni sathon pe ji raha hun kabhi koi phul muskurae kabhi koi khar dil dukhae to mujh tak aana ye nazm donon ka majra hai