khwab aur khwahish mein fasla nahin hota aks aur pani ke darmiyan aankhon mein aaina nahin hota soch ki lakiron se shakl kya banaoge dard ki musallas mein zawiya nahin hota be-shumar naslon ke khwab ek se lekin nind aur jigraata ek sa nahin hota jauhri nizamon mein nam bhul jate hain code yaad rahte hain itemi dhamakon se tabkar naslon ke khwab tut jate hain shahr dub jate hain markaze bikharte hain daere simatte hain raqs ke tamashe mein arz o shams hote hain aur khuda nahin hota sad-hazar salon mein ek nur lamhe ka tut kar bikhar jaana hadsa to hota hai waqia nahin hota history tasalsul hai ek bar tute to dur-bin nigahen bhi thak ke haar jati hain gum-shuda zaminon se munqata zamanon se rabta nahin hota nanhe munne bachchon ke nau-bahaar hathon mein phul kaun dekhega aane wali sadiyon mein teri meri aankhon ke khwab kaun dekhega zer-e-ab chizon ka kuchh pata nahin hota!