naujawan kaun hai to aaya hai kis nagri se nam kya hai tera kya kaam hai aakhir mujh se main samajhta hun ki is waqt munasib nahin aana tera tu ne kis zoam mein is waqt pukara hai mujhe tu ne kya soch ke dastak di hai aaj ki shab mere soe hue darwaze par naujawan kaun hai tu naujawan jo bhi hai tu faisla soch samajh kar ye kya hai main ne lakh dastak koi de aaj ki raat ghar ka darwaza kisi par bhi na ab kholunga chahe mehman ho ya koi hawa ka jhonka sach to ye hai ki mujhe ab to un taza hawaon se bhi dar lagta hai naujawan thik sahi to mujhe jaanta hai main bhi tujhe jaanta hun thi mulaqat teri aur meri aaj se barson pahle lekin ab us ka ye matlab to nahin tu samajh kar mujhe ham-umr apna jab bhi chahe mere darwaze pe de kar dastak ratjage mil ke manane ke liye mujh ko bulane aa jae ja miyan aur kahin mujh ko pareshan na kar