chhup gaya khurshid-e-taban aai diwali ki sham har taraf jashn-e-charaghan ka hai kaisa ehtimam dewdhiyon par shadyane aish ke bajne lage aur rangin qumqumon se baam-o-dar sajne lage itr-o-ambar se hawa hai kis qadar mahki hui khushnuma mahtabiyon se hai faza dahki hui phuljhadi se phul yun jhadte hain jaise kahkashan har taraf phaila faza mein hai patakhon ka dhuan kya maze ki aatish-afshani hai agni-ban ki dekh kar ash-ash kare jis ko nazar insan ki hain sitaron ki ye ladiyan ya charaghon ki qatar kucha-o-bazar ke diwar-o-dar hain nur-bar badh raha hai surat-e-sailab logon ka hujum har dukan par gahakon ka shor-o-ghul hai bil-umum raushni ban kar khushi har samt hai chhai hui ek khilqat jis ke jalwon ki tamashai hui