har ek makan mein jala phir diya diwali ka har ek taraf ko ujala hua diwali ka sabhi ke dil mein saman bha gaya diwali ka kisi ke dil ko maza khush laga diwali ka ajab bahaar ka hai din bana diwali ka jahan mein yaro ajab tarah ka hai ye tyauhaar kisi ne naqd liya aur koi kare hai udhaar khilaune khelon batashon ka garm hai bazar har ek dukan mein charaghon ki ho rahi hai bahaar sabhon ko fikr hai ab ja-ba-ja diwali ka mithaiyon ki dukanen laga ke halwai pukarte hain ki lala diwali hai aai batashe le koi barfi kisi ne tulwai khilaune walon ki un se ziyaada ban aai goya unhon ke wan raj aa gaya diwali ka