ek mard-e-ba-safa tha doctor-zakir-husain nek-dil farman-rawa tha doctor-zakir-husain sada-dil sada-mizaj-o-ba-amal insan tha khubiyon ka aaina tha doctor-zakir-husain pasdar-e-hurriyat tha aabru-e-hind tha ek sachcha rahnuma tha doctor-zakir-husain us ke hathon mein amanat thi watan ki zindagi ek amin-e-ba-wafa tha doctor-zakir-husain us ke hathon mein salamat tha safina desh ka yani apna nakhuda tha doctor-zakir-husain aasman-e-ilm ka tha ek darakhshan aaftab chashma-e-nur-o-ziya tha doctor-zakir-husain mehrbani har sawali par kiya karta tha wo be-bason ka ham-nawa tha doctor-zakir-husain rahnuma-e-qaum ho kar bhi gada-e-qaum tha bekason ka aasra tha doctor-zakir-husain shara ka paband tha lekin tassub se bari sach to ye hai dewta tha doctor-zakir-husain ek darakhshanda sitara tha hamare desh ka kya batae charkh kya tha doctor-zakir-husain