kunj-e-qafas mein jalwa-e-sahn-e-chaman kahan bulbul to dhundhti hai gul-o-yasman kahan gum ho gai hai aa ke jahan rah-e-ku-e-dost laya bhi to mujhe mera diwana-pan kahan sarmaya-e-nashat sahi aamad-e-bahaar lekin use nasib tera bankpan kahan ai wo mere shabab ki raaten guzar gain ab wo meri nashat bhari anjuman kahan 'shatir' chalo basaen dayar-e-habib ko is kaamiti mein jalwa-e-gang-o-jaman kahan