diwane dil kis soch mein hai diwane dil kin ummidon par jita hai har raat andhere lati hai har raat andhere laegi aur umr basar ho jaegi ummidon ke in mauj mauj dariyaon mein dariyaon ki gahrai mein kya tere liye hai ek aziyyat jine ki kya hasil hai in mauj mauj dariyaon ko dekhte rahne ka aur pyase aur diwane dil har aane wali subh ke chehre par jo patta girta hai is bhare jahan mein tanha rah jate lamhon ke samundar mein bah jaane ki ek amar haqiqat chhodta hai ud jata hai in umde hue khayalon ke tufanon mein jo chiz mujhe jine ki taqat deti hai ek aahista aahista si aawaz tujhe bas jina hai mar jaane se kuchh din pahle tak jina hai diwane dil