is tarah satate ho duriyan badhate ho duriyan badhane se fasle nahin badhte hausle nahin ghatte manzilon ko pane ka azm jo bhi karta hai wo qadam badhata hai chand chhu ke aata hai tare tod lata hai thak ke baith jaana to maut ki alamat hai aur mera iman hai maut to yaqini hai waqt par hi aaegi phir main kis liye aakhir rok lun qadam apne maut ke farishte ko ru-ba-ru khada pa kar