kanch ki guDiya

kanch nazuk hain khwab nazuk hain
tum qadam soch kar idhar rakhna

khelne ka tujhe hai shauq magar
in chatanon pe bhi nazar rakhna

tere dil mein hai aarzu ki kiran
teri aankhon mein khwab hain kal ke

tere hathon mein rang-e-titli hain
tere chehre pe azm hain dahke

mere aangan ki kanch ki gudiya
apni qismat ka imtihan na le

main tujhe shad dekhna chahun
to andheron ka aasman na le

dil pe biti jo main ne sah li hai
khar rahon se teri chun lungi

teri har ek khushi aziz mujhe
tujh ko sansar ek naya dungi

meri gudiya magar ye kahti hai
mujh ko duniya to dekh lene do

kya hua gar mujhe bhi zakhm milen
gham-e-hasti ka war sahne do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close