gharib aadmi ek qasbe mein tha bahut dil mein rakhta tha khauf-e-khuda gharibi mein iman-dari mein bhi na qasbe mein tha us se badh kar koi akela na tha biwi bachche bhi the jo the sab ke sab nek khaslat bade suhana saman din tha itwar ka ki ek chhoti ladki se man ne kaha utho lao aata ki roti pakaun bilakte hain bachche inhen kuchh khilaun gai ladki aata liya aa gai lagi gundhne man to ghabra gai ki aate mein do baaliyan thin padi har ek sabz kaghaz mein lipti hui khare sone ki kaam barik tha wo thin dekhne mein bahut khushnuma jo ladki ne dekhin to jhat bol uthi yaqinan ye hongi dukan-dar ki abhi dijiye kar dun wapas ise ye aate mein rakkhi gain bhul se dukan-dar ke pas ladki gai kaha ye to hain baaliyan aap ki mili hain ye aate se le lijiye ki bori mein shayad girin aap se dukan-dar bola utha lo tumhin suno in ka qissa ye meri nahin yahan ek aaya amir aadmi mujhe baaliyan din hidayat ye ki ye dena kisi sakht muhtaj ko diyanat mein bhi sab se badh kar jo ho ye baaten tumhin mein hain lo bas uthao tumhaari hain ye baaliyan le bhi jao ghar aai jo ladki liye baaliyan suna qissa hairan hui sakht man diyanat se hota hai raazi khuda diyanat ka ladki ko ye phal mila