phul kaghaz ke hain khushbu se bahut dur hain ye meri man to unhen be-kar chuna karti hai chandni ho ki kadi dhup ki garmi kuchh ho meri khatir tu kahan roz phira karti hai mere malbus mohabbat ka jo paiwand bane mujh ko us reshmi kapde ki zarurat kya hai jo kabhi apna kabhi ghair ka bimar bane mujh ko us husn ki yalghaar se nisbat kya hai apne hi zauq-e-tabassum mein giraftar-o-asir zard chehre pe mile ghaza-e-gul-e-rang ki dhul ghair-mumkin hai na den teri nigahon ko fareb muskuraate hue lab aur ye hanste hue phul kya badhaenge kabhi zinat-e-daman-e-khulus kharzaron se ulajhna jinhen aata hi na ho jin se qaem na ho khud apne hi jalwon ka waqar aaina le ke sanwarna jinhen aata hi na ho raat-bhar jalta rahe chahiye mujh ko wo charagh phul kaghaz ke hain kuchh der mein jal jaenge tere hathon ke tarashe hue majhul sanam mere hathon ki hararat se pighal jaenge kya milega mujhe us gul ke tabassum se kabhi jis ke chehre pe ho rangin shararat ki lakir kya milega mujhe us hat ki zebai se jis pe chadhte hue sharmae hina ki tahrir aise gulshan mein kahan raat-ki-rani mahke jis ke har goshe se katra ke guzarti ho bahaar qafila apni umidon ka kahan par thahre dur tak chhaya ho jab gardish-e-dauran ka ghubar dil mein ek waqt-e-tarab-nak ka arman liye khud ko yun waqf-e-gham-o-gardish-e-haalat na kar jin ka dawa hai ki hain tere muqaddar ke khuda meri khatir to kabhi un se koi baat na kar phul kaghaz ke hain khushbu se bahut dur hain ye meri man tu unhen be-kar chuna karti hai chandni ho ki kadi dhup ki garmi chakkho meri khatir tu kahan roz phira karti hai