diye bujha do aur un diyon ko jalae rakhne ke sare asbab talaf kar do wajud ki saltanat ke us par bhi andhera wajud ki saltanat ke us par bhi andhera hai to achchha ghutan badha do ki sans ruk ruk ke ab bhi sine mein aa rahi hai kuchh aur mekhen utar do aar-par dil ke kuchh aur gahra chalao nashtar salib par zindagi abhi kasmasa rahi hai diye bujha do aur un diyon ko jalane wali nigah ke dip bhi bujha do ye raushni ki payambar ye sahar ki mukhbir bahut hua noch lo ye aankhen dhuan dhuan sab sukut kar do diye bujha do