baz ki tarah jhapta wo barham farishta us ke baalon ko mutthi mein jakde hue us se bola main tumhaara farishta hun sun lo apne sare faraez tum anjam doge meri marzi hai ye siyah-karon gharibon ahmaqon se hamesha pyar karna tum hamesha pyar karna taki jab aaen insaniyat ke masiha fath ka surkh qalin un ke liye apne akhlaq se tum buno is se pahle ki tum khud se bezar ho us ki azmat se dil ko munawwar karo auj-e-ishrat hai ye auj-e-ishrat hai ye der-pa der-pa der-pa der-pa dars-e-ulfat dil dhadakne se hichkichae surat-e-do-disa ye gurezan nili tarikiyon se shagufta qahqahe marti main jo nikli mere khwabon ke bedar chehre sare sahil pe nauha-khwan hain