(1) taza hain abhi yaad mein ai saqi-e-gulfam wo aks-e-rukh-e-yar se lahke hue ayyam wo phul si khulti hui didar ki saat wo dil sa dhadakta hua ummid ka hangam ummid ki lau jaga gham-e-dil ka nasiba lo shauq ki tarsi hui shab ho gai aakhir lo dub gae dard ke be-khwab sitare ab chamkega be-sabr nigahon ka muqaddar is baam se niklega tere husn ka khurshid is kunj se phutegi kiran rang-e-hina ki is dar se bahega teri raftar ka simab us rah pe phailegi shafaq teri qaba ki phir dekhe hain wo hijr ke tapte hue din bhi jab fikr-e-dil-o-jaan mein fughan bhul gai hai har shab wo siyah bojh ki dil baith gaya hai har subh ki lau tir si sine mein lagi hai tanhai mein kya kya na tujhe yaad kiya hai kya kya na dil-e-zar ne dhundi hain panahen aankhon se lagaya hai kabhi dast-e-saba ko dali hain kabhi gardan-e-mahtab mein bahen (2) chaha hai isi rang mein laila-e-watan ko tadpa hai isi taur se dil us ki lagan mein dhundi hai yunhi shauq ne aasaish-e-manzil rukhsar ke kham mein kabhi kakul ki shikan mein us jaan-e-jahan ko bhi yunhi qalb-o-nazar ne hans hans ke sada di kabhi ro ro ke pukara pure kiye sab harf-e-tamanna ke taqaze har dard ko ujyala har ek gham ko sanwara wapas nahin phera koi farman junun ka tanha nahin lauti kabhi aawaz jaras ki khairiyyat-e-jaan rahat-e-tan sehhat-e-daman sab bhul gain maslihaten ahl-e-hawas ki is rah mein jo sab pe guzarti hai wo guzri tanha pas-e-zindan kabhi ruswa sar-e-bazar garje hain bahut shaikh sar-e-gosha-e-mimbar kadke hain bahut ahl-e-hakam bar-sar-e-darbar chhoda nahin ghairon ne koi nawak-e-dushnam chhuti nahin apnon se koi tarz-e-malamat us ishq na us ishq pe nadim hai magar dil har dagh hai is dil mein ba-juz-dagh-e-nadamat
This is a great gulfam hussain shayari. True lovers of photo shayari hd will love this. Please share if you liked this!!!