do laDen tisre ka bhala ho

khet mein chand murghiyan ham-sin
chug rahi thin khushi khushi ek din

aur do murghe aise nazar aae
lad rahe the jo ek bhutte par

itne mein ek tisra murgha
aa ke chupke se bhutta le bhaga

rah gae donon ho ke wo khamosh
aur donon ko aaya ab ye hosh

hum na ladte to karte kyun nuqsan
sach to ye hai ki hain bade nadan

ab jo pachhtae faeda kya hai
phut ka bas yahi natija hai

is se malum ho gaya ladko
do laden tisre ka achchha ho

mil ke rahne se kaam hota hai
yahi dastur kul jahan ka hai

aur ladte rahe agar baham
pa nahin sakte faeda kuchh hum

yaad rakkho ye baat 'jauhar' ki
ye udata nahin hai be-par ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close