maut banduq liye phirti hai gali-kuchon mein dandanati hai kan mein sitiyan bajati hai aasman nak par uthati hui thokaron se zamin udati hui takhtiyan ghaur se padhti hai sab makanon ki galiyan bakti guzarti hai har mohalle se rezgari bhi churaati hai roz galle se maut banduq liye phirti hai koi ghar se nikal nahin pata us ke dar se nikal nahin pata badi dahshat hai us ki ghar ghar mein maut jaise ki gali ka dada jo kisi dusre mohalle se bhatta lene ko jo aaya to palat kar na gaya rose galiyon mein aa nikalti hai sab dukanon mein parchi girti hai maut banduq liye phirti hai