meri beti meri jaanan tumhein sab yaad to hoga bahut pahle bahut pahle jawani ka tha jab aalam mere bazu mein taqat thi mere sine mein himmat thi unhen ayyam mein ek din meri aaghosh-e-ulfat mein kisi ne la ke rakkha tha tumhaara phul sa chehra badan be-intiha nazuk mere in sakht hathon mein ajab narmi si aai thi meri is aankh ne bu se liye the aur roi thi mujhe to yaad hai sab kuchh tumhein bhi yaad to hoga nae kapde khilaune dudh ki botal kharidi thi bahut bechain hota tha jo tum raaton ko roti thin chali thin apne pairon par jo tum pahle-pahal beta mujhe aisa laga tha chal padi dil ki mere dhadkan qadam do chaar le kar tum jo ik-dam ladkhadai thin meri sansen mere sine ke andar thartharai thin meri godi mein rafta rafta din guzra kiye aur tum na jaane sote sote mere sine par jawani tak meri jaan aaj aai ho tumhein mujh se shikayat hai ki main ne sakhtiyan ki hain meri wo sakhtiyan tum ko bahut ranjur karti thin mujhe bhi ranj hota tha magar thi tarbiyat lazim tumhein sanche mein dhalna tha tabiat ko badalna tha tumhein sab yaad to hoga meri beti mere bazu mein wo quwwat nahin baqi tumhaari har khushi ki hain zamanat dhadkanen meri magar ek mashwara sun lo ki ab sab bhul jao tum nae rishte banao tum hamara sath chhutega nae rishton ke meri jaan masail kam nahin hoge magar tab hum nahin honge akeli jaan hogi tum faqat wo tarbiyat hogi jo main ne sakhtiyan kar ke tumhaare dil mein dali hai wo tum ko yaad to hogi sabaq sab yaad to hoga