bachpan mein jo nazm padhi thi main ne ek risale mein unwan us ka basa hua hai ab tak yaad ke jale mein munni se puchha tha kisi ne munni tere dant kahan hain us ki bholi-bhaali baaten dekho bachcho darj yahan hain be-danton ka munh munni ne thoda sa phir khola tha aansu bhar ke aankhon mein phir dukhiyari ne bola tha dant jo main ne sat baras mein dudh pila kar pale the in ko le gae chuhe jo sab lambi monchhon wale the patjhad ki ye rut thi lekin chand dinon aur raaton ki ug aai thi ek ladi phir moti jaise danton ki jab nani dadi ko dekha to hum par ye raaz khula hota hai ek bar hi bachcho jo kuchh is ke sath hua sat baras ke dant giren to be-shak wo ug jate hain lekin sath baras ke hon to laut ke phir kab aate hain