ek adib-e-namwar ek afsar-e-aali-maqam zat saksena hai jis ki ram babu jis ka nam jis ne urdu par kiya hai qabil-e-tarif kaam jis ko izzat ki nazar se dekhte hain khas-o-am mukhtalif mumtaz ohdon se hua jo sarfaraaz daur-e-khidmat bhi guzara jis ne ba-sad-ehtisham us ne english mein likhi urdu ki tarikh-e-adab phir kiya urdu mein us ko chhapne ka ehtimam phir yahi tarikh hindi tarjuma ho kar chhapi ghair mulkon mein bhi is talif ka hai ehtiram zikr-e-ahl-e-harf hai jis mein likhi wo bhi kitab us mein samjhaya 'anis'-o-'mir'-o-'ghaalib' ka maqam shairon ka haal likkha un ki taswiron ke sath aur angrezon ka likkha farsi urdu kalam haal urdu shairan-e-ahl-e-europe ka likha shairan-e-farsi ka hai alag hindi kalam chhap rahi hai masnawi-e-'mir' bhi ba-khatt-e-'mir' ab jadid urdu adab ka ho raha hai intizam ab kahin urdu se wabasta ho koi ijtima har jagah us ko bulate hain sabhi ba-ehtiram us ne di urdu adab ko zindagi-e-jawedan aur urdu se 'shifa' zinda rahega us ka nam