jaanib-e-manzil hamara karwan badhta gaya amn ke parcham liye hindostan badhta gaya ye amin-e-dostan tha dushmanon se be-niyaz azm-o-istiqlal ka le kar nishan badhta gaya har sitam par ki buland is ne sada-e-ehtijaj ban ke ek paighambar-e-amn-o-aman badhta gaya ahl-e-baatil dekh kar hairat se munh takte rahe rah-e-haq par be-khatar ba-izz-o-shan badhta gaya ghir ke aafat mein pukara jab kisi mazlum ne us ki jaanib ye ba-shakl-e-pasban badhta gaya hai hamari manzil-e-maqsud tamir-e-watan karwan ab tak hamara kaamran badhta gaya muntakhab hum ne kiya tha ek mir-e-karwan wo badha jis samt har pir-o-jawan badhta gaya raushni milti rahegi sab ko bhaarat se 'shifa' amn ki jaanib agar sara jahan badhta gaya